Aankhein Shayari | Aankhein Shayari in English | Hindi Aankhein Shayari

Aankhein Shayari in English: Collection of Aankhein Shayari, Urdu Aankhein Shayari, Hindi Aankhein Shayari, Urdu Aankhein Shayari and Poetry. Aankhein Shayari Section is regularly updated with new and fresh Shayari.

Aankhein Shayari in English

Aankhein Shayari | Aankhein Shayari in English | Hindi Aankhein Shayari

Jab Chaand Sitare chamak rahey hon
Jab Yaadon k Phool Mehak rahey hon
Jab Deed ko Nain taras rahey hon
Jab Aankhon se Aansoo baras rahey hon

Jab Tanhai se Dil Ghabraye ga
Jab Tumhein Akela-Pan Satayega
Jab koi Khuwab hi nahi ayega
Jab Phool Kitab mai hi reh jayega

Ek din mere dil ko jalan dey gaya..
Zindagi mujhe jeene ka kafan dey gaya..
Lakhon pholo mai se ek phol chuna humne..
Jo kanton se gehri chuban dey gaya..

Muhabat K Sapnay Dikhatay Bohat Hai
Wo Raaton Main Hum Ko Jagatay Bohat Hai
Mai Ankhon Mai Kajal Lagaon To Kesy
In Ankho Ko Log Rulatay Bohat Hai!

Aankhein shayari 2 lines

Aankhein shayari 2 lines

Ana Ki Baat Hai Warna Mohabbat Ab B Baki Hai
Usay Meri Mjhe Uski Zarorat Ab B Baki Hai

Koi Mushkil Agar Darpaish Aye Laut Ana Tum
Tumhare Waste Dil Mie Aqeedat Ab B Baki Hai

Bala Ki Sard Mehri Hai Meri Har Baat Mie Lekin
Mere Seenay Mien Chaht Ki Hararat Ab B Baki Hai

Aankhein shayari in hindi & English

Aankhein shayari in hindi & English

Us Se Kehna Hum Mazay Main Hain
Bas Yaadain Bohat Stati Hain
Un Ki Duuri Ka Gham Nahi Mujhe
Bas Zara Aankhain Bheeg Jati Hain.

Na Kisi Ki Aankh Ka Noor Hun,
Na Kisi Ke Dil Ka Karaar Hun
Kisi Ke Kaam Na Aa Sake,
Main Wo Ek Musht-e-Gubaar Hun

Mera Rang-Roop Bigad Gaya,
Mera Yaar Muzse Bichhad Gaya
Jo Chaman Khiza Se Ujad Gaya,
Main Usi Ki Fasll-e-Bahaar Hun

Tum Ne Chaha Hi Nahi Haalat Badal Saktay Thay
Terey Aansoo Meri Aankhoon Se Nikal Saktay Thay
Tum To Theray Rahay Jheel K Pani Ki Terhan
Derya Bantay To Bohat Door Nikal Saktay Thay

Hindi Aankhein Shayari

Hindi Aankhein Shayari

Jo Poochta Hai Koi Surkh Kiun Hain Aj Ankhain,
To Ankh Mal Ke Kheti Hon Ke Raat So Na Saki,
Hazar Chahon Magar Yeh Na Khe Sakon Gi Kabhi Bhi,
Ke Raat Ronay Ki Khuwhish Thi Magar Roo Na Saki

Ankhon Mein Sama Jao,
Is Dil Mein Raha Karna
Taron Mein Hansa Karna,
Phoolon Mein Khila Karna

Jab Se Tumhein Dekha Hai,
Jab Se Tumhein Paya Hai
Kuchh Hosh Nahin Mujhko,
Ek Nasha Sa Chhaya Hai
Ab Baat Jo Karni Ho,
Aankhon Se Kaha Karna

Aey Kaash Dharkta Dil, Kuchh Der Thahar Jaaye
Ye Raat, Mohabbat Kii, Yunhii Na Guzar Jaae
Baqi Hai Abhii Tum Par, Ye Jaan Fidaa Karnaa
Aankhon Mein Samaa Jaao, Is Dil Mein Rahaa Karna

Aankhein Shayari

Aankhein Shayari

Ankhon Ko Intezar Ka Hunar De Kar Chala Gaya
Chaha Tha Ek Shaks Ko Jane Kidhar Chala Gaya

Kismat Na Dikhaye Ab, Ghariyaan Hamein Furaqat Ki
Har Raat Yuunhi Chamake,Taqadir Mohabbat Ki
Aey Chand Sitaaro Tum Mil Jul Ke Duaa Karna
Aankhon Mein Samaa Jaao, Is Dil Mein Rahaa Karna

Kitni Zulfain Khuleen Kitnay Aanchal Uray Chand Ko Kia Khaber
Kitna Maatam Howa Kitnay Aansoo Bahay Chand Ko Kia Khaber

Mudatoon Us Ki Khwahish Main Chaltay Rahay Haath Aata Nahi
Chah Main Uski Pairoon Main Hain Aablay Chand Ko Kia Khaber

Woh Jo Nikla Nahi Hai Tu Bhataktay Rahay Hain Musafir Kayee
Aur Lut Tay Rahay Hain Kayee Qaaflay Chand Ko Kia Khaber

Woh Tu Apni Hi Nigri Main Mudhosh Hai Kab Se Khamosh Hai
Kon Raaja Bana Kitnay Sayed Lutay Chand Ko Kia Khaber

Usko Daawa Buhat Meethay Pan Ka Wasi Chandni Se Kaho
Uski Kirno Se Kitnay Hi Gher Jal Gaye Chand Ko Kia Khaber

Ankhon Mein Sama Jao, Is Dil Mein Raha Karna
Taron Mein Hansa Karna, Phoolon Mein Khila Karna

Nashili aankhein shayari hindi

Jab Se Tumhein Dekha Hai, Jab Se Tumhein Paya Hai
Kuchh Hosh Nahin Mujhko, Ek Nasha Sa Chhaya Hai
Ab Baat Jo Karni Ho, Aankhon Se Kaha Karna

Aey Kaash Dharkta Dil, Kuchh Der Thahar Jaaye
Ye Raat, Mohabbat Kii, Yunhii Na Guzar Jaae
Baqi Hai Abhii Tum Par, Ye Jaan Fidaa Karnaa
Aankhon Mein Samaa Jaao, Is Dil Mein Rahaa Karna

Kismat Na Dikhaye Ab, Ghariyaan Hamein Furaqat Ki
Har Raat Yuunhi Chamake,Taqadir Mohabbat Ki
Aey Chand Sitaaro Tum Mil Jul Ke Duaa Karna
Aankhon Mein Samaa Jaao, Is Dil Mein Rahaa Karna

Long Aankhein Shayari in Hindi

Samandar Mein Otar Ti Hoon Tou Aankhein Bheeg Jati Hain
Teri Aankhon Ko Parti Hoon Tou Aankhein Bheeg Jati Hain
Tera Naam Likhne Ki Ijazat Cheen Gai Hai Jab Se
Koi Bhi Lafz Likhti Hoon Tou Aankhein Bheeg Jati Hain
Na Jane Ho Gai Hoon Is Qadar Hasas Main Kab Si
Kisi Se Baat Karti Hoon Tou Aankhein Bheeg Jati Hain
Hazaroon Mausamon Ki Hukmarani Hai Mere Dil Par
Lekin Jab Bhi Hansti Hoon Tou Aankhein Bheeg Jati Hain

Tamanaon Ke Bahlaave Mein Aksar Aa Hi Jaate Hain
Kabhi Ham Chot Khaate Hain Kabhi Ham Muskurate Hain
Ham Aksar Doston Ki Be-Vafaaii Sah To Lete Hain
Magar Ham Jantey Hain Dil Hamaare Toot Jaate Hain
Kisi Ke Sath Jab Bite Hue Lamhon Ki Yaad Aai
Thaki Aankhon Mein Ashkon Ke Sitaare Jhil-Milate Hain

Uss Ki Ankhoon Ko Kabhi Ghaur Se Dekha Hai Fraz
Roney Wallon Ki Tarah Jagney Wallon Jaissi,

Apni Aakhon Ke Samunder Main Utar Jaane De
Tera Mujrim Hoon, Mujhe Doub Ke Mar Jaane De

Zakham Kitne Teri Chaahat Se Mile Hain Mujhko
Sonchta Hoon Kahoon Tujhse, Magar Jaane De

Shaam Hote Hee Kyon, Diye Jal Jaate Hain
Kyon Aankhein Nam Hoti Hai, Kyon Ashk Dhal Jaate Hain

Taarikiyo’n Ko Cheerkar, Ye Lau Jagmagaati Hai
Sehar Hote Hee Kyon, Shamma Dhal Jaati Hai

Aksar Tanha Raato Mein, Kyon Bebasi Jhalakti Hai
Kyon Din Khushi Manata Hai, Kyon Raat Udaas Hoti Ha

Ishaam Hote Hi Kyon, Diye Jal Jaate Hain
Kyon Aankhein Nam Hoti Hai, Kyon Ashk Dhal Jaate Hain

Inn Waadiyo’n Mein Khudko, Mai Kyon Udaas Paati Hoon
Ye Surile Parinde Bhi, Kyon Udaas Geet Gaate Hain

Aankhein Shayari

Sehraa Mein Hoon Mai Tanha,
Iss Neele Falak Ke Neeche
Ye Aasmaa’n Bhi Mujhpar,
Kyon Bijliyaa’n Giraate Hain

Shaam Hote Hi Kyon, Diye Jal Jaate Hain
Kyon Aankhein Nam Hoti Hai, Kyon Ashk Dhal Jaate Hain

Suna Hai K Barish Usey Bhi Pasand Hai
Suna Hai K Barish Usey Bhi Pasand Hai

Woh Bhi Meri Terhan
Barasti Bondon Ko Hathon Mein Sameit Leti Hai ?.
Suna Hai Phool Usey Bhi Pasand Hai

raat ki tanhai mai jab naam usko pukara,
har sitare ne uska naam dohraya,

ah gaye ashq bhi humari ye mehfil mai,
jab uski duri ka ehsaas chand ne dilaya..

Har Wada-E-Wafa Ko Bhulane Ka Shukriya,
Dewana Kar Ke Aankh Churane Ka Shukriya,

Hum Jante Thay Aap Ke Qabil Nahi Hain Hum,
Kuch Roz DiL Ki Aas Barhane Ka Shukriya.. !!

unhi Umeed Dilatay Hain Zamane Wale,
Laut Kay Kab Aatay Hain Jane Wale,

Tu Ne Dekha Kabi Sehra Main Jhulasta Hua Darakht,
Iss Tarha Jaltay Hain Wafaon ko Nibhane Wale,
Tu Aa Kar To Dekh Kabi Un Ki Shabon Main,
Kitna Rotay Hain Zamane Ko Hasane Wale?!

Ab Aansuoon Ko Aankhon Main Sajaana Hoga
Chiraagh Bhuj Gai Khud Ko Jalaana Hoga

Na Samjhna K Tumse Bicharh K Khush Hain
Humain Logon Ki Khaatir Muskuraana Hoga

Phir Shaam Dhal Gai Tum Aaiee Na Aaj Bhi
Dil Ko Aaj Phir Umeedoon Se Behlaana Hoga

Waada Khilaafi Kar K Muskurate Ho Aap
Dekhna Aik Din Sanam Aapko Pashtaana Hoga

Lahoo Se Apne Kafan Pe Tera Naam Likh Jaounga
Thaam K Haath Main Phool Tumko Aana Hoga

Abhi Se Na Kejiyai Takaaz-E-Masroofiat K Aap
Abhi Utthna Hai Janaza Kaandha To Daina Hoga

Muddaton Kiya Hai Tera Intizaar Aye Sanam
Umar Kat Chuki Ab To Jaana Hoga…!!!
Woh Bhi Meri Terhan
Ghanton Pholon Se Batein Kerti Rehti Hai ?..
Suna Hai K Chand Usey Bhi Aacha Lagta Hai
Woh Bhi Meri Terhan
Raat Raat Bher Usey Takti Rehti Ha ?.
Suna Hai Tanhaee Usey Bhi Bhati Hai
Woh Bhi Meri Terhan
Per Woh Tanha Baith Ker Kis Ko Sochti Hai
Sari Batein Sachi Hein Magar
Yeh Bhi Sach Hai !
Mein Jo Us K Barey Mein
Her Baat Ki Khabbar Rakhta Hon
Yeh Bhi Janta Hoon K Us Ki
Soochon Ka Mehwar Mein Nahi ??!!!

Also Read : Best 50+ Ishq Shayari in English & Hindi With Images

WhatsApp Group Join Now
Telegram Group Join Now

Leave a Comment

CLOSE ADVERTISEMENT