Dosti Shayari English: Friends, in today’s article, we have shared dosti shayari in english with you. Friends friendship is the most important relationship in the world. On this friendship we have shared with you many best collection friendship Shayari in English, dosti shayari in english 2 line, dosti shayari in english hindi, dosti shayari in english attitude and many more.
Table of Contents
Friendship Shayari in English | Dosti Shayari English
Friendship Shayari in English |
Duniya se mile gam to bahut hai,
Inn mile gamo se aankhe num to bahut hai,
Kab ke mar jaate inn ghamo ke sehkar,
Par dosto ki duaaon mein asar bahut hai.
Dost kabhi dosto se khafa nahi hote,
mile dil kabhi juda nahi hote,
bhula dena mere kamiyo ko kyunki,
dost kabhi khuda nahi hote.
Dosti Shayari English
Dosti Shayari English |
Safar dosti ka yuhi chalta rahe,
Suraj chahe har sham ko dhalta rahe,
Na dhalegi apni dosti ki subha,
Chahe har rishta ab badalta rahe.
Ishq aur dosti meri jindagi ka guman hai,
Ishq meri rooh hai to dosti mera imaan hai,
Ishq pe kardu fida saari zindagi,
Magar dosti pe mera ishq kurban hai.
Friendship Shayari in English with Images
Dosti Shayari English |
Zindagi Rahe Na Rahe hamari Dosti Rahegi,
Paas Rahe Na Rahe hamari Yaadein Rahegi,
Apni Zindagi Mein Hamesha Haste Rehna,
Kyunki Aapki Hasi Me Ek Muskaan hamari Rahegi.
Rishton mein Duriya to aati rehti hai,
Dosti sada do Dilon ko milati rehti hai,
Wo Dosti hi kya Jisme Narazgi na ho,
Par Sachi Dosti hamesha Dosto ko Mana leti hai.
Read more: TOP 50+ GF Ke Liye Shayari in Hindi | Shayari For Girlfriend
Dosti Shayari in English with Images
Dosti Shayari English |
Aapki hasi badhi pyari lagti hai,
Aapki har khusi hamari lagti hai,
Juda mat karna kabhi dil se hume,
Kyuki jaan se bhi pyari aapki yaari lagti hai.
Karni Khuda se kuch fariyaad baaki hai,
Hame unse kehni kuch baat abhi baaki hai,
Maut aayegi to kehna ruk ja,
abhi apne Dost se Mulakaat baaki hai.
Trust friendship shayari in english
Dosti Shayari English |
Najre milakar hamse najre chura mat lena,
Dost bnakar hamko dushman bana mat lena,
Mana ki hume dar hai aapki esi baat ka,
Bahana banakar humko bhula mat dena.
Inn aankho se sapne churaya na karo,
humari dosti ko kabhi azmaya na karo,
tumhari ek hasi meri dil ki dhadkan hai,
unhe yu na ansuo mein gavaya karo.
Read more: Top 130+ Heart Touching Love Quotes In Hindi
Sachi dosti shayari in english
Dosti Shayari English |
Dosti imtiehan nahi vishwas mangti hai,
Nazar aur kuch nahi dost ka deedar mangti hai,
Zindagi apne liye kuch bhi nahi hai,
Par dosto ke liye ye dua hazar mangti hai.
Har Pal Khushi Ka Ho Aapke Liye,
Gulshan Ho ye Zindagi Aapke Liye,
har Manzil ho Kamyabi Ki Aapke Liye,
Par Dosti Ho Aapki sirf or sirf Hamaare Liye.
Dosti shayari in hindi
Dosti Shayari English |
Mann Mein Aapki Har Baat Rahegi,
Basti Chuti Hai Magar Aabad Rahegi,
Chahe Hum Bhula De Zamane Ko,
Magar Apki Ye Dosti Humesha Yaad Rahegi
Pyara se dost ko salaam hamara,
Aap kaise ho sawaal hamara,
Yaad karte rahenge ye hai wada hamara,
Filhaal kabool kijiye Good Morning hamara.
Read more: Pyar Bhari Shayari – Pyar Wali Shayari 2022
Dosti shayari english mein
Dosti Shayari English |
Meri dosti ke saare ehsaas le lo,
Dil Se pyar ke saare jazbaat le lo,
Nhai chodenge saath tumhare,
Iss dosti ke chahe hazaron imtehan le lo.
Do pal ki zindagi yoon hi beet jayegi,
Kaali raat ke baad nayi subah aayegi,
Agar dosto ki yaad satayegi,
To kasam se apki yaad sabse pehle aayegi.
Read more: Dard Bhari Dosti Shayari | Hindi Dosti Shayari
Dosti shayari english 2022
Dosti Shayari English |
Nafrat koi aap se kar nahi sakta,
Aap ki dosti ka karz koi bhar nahi sakta,
Dil ke sab se khareeb hai aapki dosti,
Aap se pyara dost kabhi koi ho nahi sakta.
Alfaz ki shakal mein Ehsaas likha jata hai,
Yaani pani ko bhi pyaas likha jaata hai,
Mere jazbaat se waqif hai, meri kalam,
Main dost likhu to apka naam likha jata hai.
Dosti shayari english to hindi
Dosti Shayari English |
Dosti main dooriyan to aati rehti hai,
Phir bhi dosti dilo ko mila deti hai,
Wo dosti hi kya jo naraz na ho,
Par sachi dosti to dosto ko mana leti hai.
Dost Ki Yaad har Waqt Hi Satayegi,
Dukh Ke Waqt Dosti Yaad Aayegi,
Uss Din Janoge Dost Ki Qadar,
Jis Din Dost Se Zindagi Ruth Jayegi.
Read More: Friendship Shayari in English | Best Shayari On Friendship
Dosti shayari english word
Dosti Shayari English |
Akhan di benuri changi nahin hundi,
Dostan ton duri changi nahin hundi,
Kade kade milya vi kar yaara,
Har vele SMS naal gal puri nahin hundi.
Dosti sachi ho to waqt ruk jata hai,
Aasman lakh ucha ho magar jhuk jata hai,
Dosti mein duniya laakh bane rukawat,
Agar dosti sachi ho to khuda bhi jhuk jata hai.
Dosti shayari english hindi
Aapki apni Dosti ka salam likhenge,
Dil ki kitab mein apna armaan likhenge,
kash hume mil jaye asmaan ki huqumat,
sitaron ki jagah hum aap ka naam likhenge.
Saanso se pyari yaade hai tumhari,
Dhadkan se pyari baate hai tumhari,
Tumhe yakeen ho ya na ho,
Iss zindagi se pyari dosti hai hamari.
Dosti shayari english attitude
andhere ka ehsaas shaam se hota hai,
Nashe ka ehsaas jaam se hota hai,
Yoon to bahut Dost hai duniya mein,
par Dosti ka ehsaas aapke naam se hota hai.
Yaad karoge toh har baat yaad aayegi‚
Suhane waqt ki mauj ruk jayegi‚
Dhoodoge agar hamse behtar dost koi‚
Nigah door tak jayegi aur laut aayegi.
Dosti shayari english and hindi
Taqdeer ne chaha taqdeer ne bataya,
Taqdeer ne tumko or humko milaya,
Khushnaseeb the wo pal ya hum,
Jab aap jaisa anmol dost iss zindagi me aaya.
Kahi unkahi baato ki ada hai dosti,
Har ranj-o-gham ki dawa hai dosti.
Zameen par kami hai pujne walo ki,
Warna is zameen par khuda hai dosti.
Dosti shayari hindi aur english mein
Hasrato Ki Nighon Pe Sakht Pehra Hai,
Na-jaane Kis Umeed Par Dil Thehra Hai,
Teri Chahton Ki Kasam Aye Dost,
Apni Dosti Ka Rishta To Pyaar Se Bhi Gehra Hai.
Kuch Ehsaaon Ke Saaye Dil Ko Chu Jaate Hai,
Kuch Manzar Dil Mein Utar Jaate Hai,
Be-jaan Gulshan Mein Bhi Phool Khil Jaate Hai,
Jab Zindagi Mein Aap Jaise Dost Mil Jaate Hai.
Sachi dosti shayari in english attitude
Lamhe Ye Suhane Sath Ho Na Ho,
Kal Mein Aaj Jaisi Koi Baat Ho Na Ho,
Aapki Dosti Hamesa Is Dil Mein Rahegi,
Chahe Puri Umar Mulaqat Ho Na Ho.
Teri dosti ne bohat kuch sikhla diya,
Meri khamosh duniya ko jaise hasa diya,
Karzdaar hoon main khuda ka,
Jiss ne mujhe aap jaise dost se mila diya.